Wednesday, April 2, 2008

free voice: 2 OCTOBER

free voice: 2 OCTOBER

2 OCTOBER

GANDHI!

AAJ PHIR,
TUMHEN YAAD KIYA JAYEGA
SWACHHA KI JAYEGEE
TUMHARI SAMADHI;
PRASTAR PRATIMAYEN
SUBAH SE HI LAG JAYEGA TANTA WAHAN
TUMHARE ANUYAYIYON KA
RAM-NAAM DHUN GOONJEGI

LEKIN..

SHAAM HOTE HI CHHOD DIYA JAYEGA
TUMHE
AKELA
KAUON, KABOOTARON KI DEKH-REKH ME
CHALI JAYEGI BHEED
TAIYARI KARANE
30 JANUARI KI.

HINDI POEM

AAM ADMI

MAINE DEKHA USE
CHANDANI CHAUK PE
JAMA MASJID KE PASS
G.B. ROAD PAR
DANDA LAHARATE
LOGON KO DHAMKATE
ANDER KAR DENE KI
DHAMKI DEKAR DARATE
AUR
DO SAU PAR NA SULTATE

MAINE DEKHA UNHE
ROAD KE KINARE
PED KI CHAWN ME
HATH ME KOI KITAB LIYE
AANE JANE WALE VAHNO KO GHOORATE
KABHI KISI SCOOTER-BIKER KO ROKATE
CHALAK KO GHIGHIYATE

MAINE DEKHA UNHE
MAHATWAPURN MEETINGO ME GAPPE HANKTE
JAROORI KAM KA BAHANA KAR
LATKATE
NIT NAYE DAURON PER JATE
OFFICE KE PHONE PER
MAHATWA PURN FILM, CRICKET
SAMIKSHA KARATE

MAINE DEKHA HAI
SCHOOLON ME
STAFF ROOM KE TABLON PAR
PAIR PASAR KAR DHUAN UDATE
DISCIPLINE KE NAAM PAR
STUDENTS KO DHUNATE
GALIYAN DETE
UNKA FUTURE BANATE

MAINE DEKHA HAI
NAVODITE WRITERS KO WRITING
KA GUR SIKHAKAR
PRATISTHIT KARANE WALE
SAMPADAKON KO
SATH HI GART ME JATI
PRATIBHAYEN BHI
JINHE NAHI ATA CHAPANE KA TARIKA
YA JINHE CONFIDENCE HAI
APNI
PRATIBHA PAR

MAI DEKHATA HOON SABKUCH
LEKIN ANDEKHA KAR DETA HOON
KYUKI MERA ZAMEER SO
GAYA HAI
NIJI SWARTH AUR PARIWARIK
JIMMEDARIYON KE AGE
DESH DUNIYA KI JIMMEDARIYON SE
DOOR HO GAYA HAI
AB MUJHE NAHI LAGATA KI MAI KUCH KAR SAKTA HOON
KYUKI MAI
AAM ADMI HOON
AUR AAM

SIRF

CHOOSANE KE KAAM ATA HAI